INSAN KO BAKHSHI GAI NAIMATEN
- this is my 1st experians any type of typing in p c. or tm ALLAH KI KON KON C NAIMATON KO JHUTLAOGE? .
- Allah ki bnai gai har naimat ka koi mool nahe.agar hum cheunti ko dkhen to Allah ki sbse choti makhlooq hy,lekin Allah ne ise b ksi maslehat k tehet banaya hy.
samandri makhlooq,jo mje buhut muttassir krti hyn k Allah ne itni khobsorat ,haseen, dilkash,rang barangi,alag alag shaklon ki makhloq, akhir Allah ne kyun kr bnai hyn. phir zehen me ajebo ghareb sawalat uthte hyn?
hum dkhte hyn k kese barri machli choti machli ko kha jati hy.
isi me 1 mchli hy jo dusman machli k samne aate hi apni shakal badal leti hy or wo hr machli ,bal k kisi b samandari makhlooq ki shakal ikhtiar kr leti hy.dar asal muje smajh nahe arhi k bt kahan se shuru kron,umed hy apko samaj arhi hogi.
insan behad na shukra hy hamesha khud se behtar ko dekhta hy jab k Allah pak farmata hy "khud se abtar walon ko dekho na k behtar walon ko".
Allah k nizam ko bashar kabhi nahe samaj saka hy or na hi kbhi smjhega....Agar Allah in machliyun ko ijaza dy dyta k wo samandar ka pani pi skti hyn to shayad aaj ye dunya hi na hoti ,sadyun pehle pani ki kami ki waja se khatam hogai hoti. or agar ye machlian na hoti to in samandaron,daryaon ,jhelon,aabsharoon me palne wale keerre makorre or lashen(death bodies) or murda janwaron ki waja se ye pani badbodar hogay hota.
kehne ko to buhut kuch hy lekin mere pass alfazoon ka zakhira nahi hy or na hi wo rabt or tasslsul k parhne wala shuru se hi samaj jayen k kia likha gaya hy.
akhir me yahi kahongi k insan ko har saans k sath Allah ka shukar ada karna chahiye or kbhi b khud ko kamzor or nakara nahi samajhna chahey Allah ne is dunya me aik zarra b maslehat k bagher nahi banaya. (FI AMANILLAH)
from
RABIA KHAN
beshak......
ReplyDeletebht acha likha gaya hai... :) KEep it up..
ReplyDelete