Wase to
mulk ka nam he Islami Jamhoria Pakistan hai lekin 65 saaloun mai Jamhoriat ne apna waqt kabhi bhe mukamal
nhe kia .Pakistan banne kay bad 2008 mai PAKISTAN PEOPLES PARTY ki daur-e-hukumat aye jis ne
muqarara waqt yani 5 saal pure kiay aur
mulk ko JAMHORIAT ka tohfa dya. Ab sawal ye uthta hai kay jamhoriat jis ka matlb
hai kay hukomat awam ki falah-o-behbod kay lae kam kare lekin ye to dur ki baat
hai unhon ne to mulk ko is dahane pay la
kay khara kar dya hai jahan agay koaan aur pecha khaye wale soorat e hall
haogaye hai. Awam se un kay bunyadi huqooq he cheen lye gaye hain unhon ne 5
saal mai awam to bohat se tohfay dye jse Balochistan mai dhamay khandan kay
khandan khatam hogaye, ulma ka qatle aam, drawn hamlay aur dehshat gardi mai
aye din izafa aur hukomat ki naaahli, Karachi mai aye din target killing agar
average nikala jaye to taqreeban 10 log apne jan se rozana hath dhoo bethte hain mulk mai anarkhi
phelaye ja rahe hai. Zindagi ki bunyadi
zarooriat ROTI,KAPRA AUR MAKAN jis ka
naara lay kar ppp ki hukomat ai the lekin shehrioun ko is kay baraks sirf apne
jan ki he fikar satati hai logoun ko ye tak maloom nahi kay aaj agar who ghar
se nikle hain to sham ko loat kar ain gay bhee kay nahee !
Yeah to thay mulki halat ab
agar hum gair mulki halat par nazar dalen to wahan bhee aise he soorat-e-haal
ka samna karna pare ga. Hamare sadar-e-pakistan sadar zardari sahab jo aye din
ghair mulki daure karte rehte thay woh mulki mafadat kay lea hota thay ya phr
zaati mafad kay lea kyun kay agar dekha jai to un kay daur-e-hukoomat main koi
aisa kaam nazar nahi ata jo mulki mafad mai ho. Amrici imdad kay lea sadar
sahab muzakrat karte hain woh imdad kahan jati hai swiss bankoun mai! kyun kay
awam ko to is se koi faida hota nazar nahi ata. Aur jab hum bat krte hain imdad
ki to kya sadar sahab imdad (aid) kay bajaye tijarat(trade) ki baat nahi kar
sakte thay , hamare mulk may naye factories lagaye jain , naye school aur
universities banaye jain, koi technical industry ki bunyad rakhe jai jis kay
banne se mulk ko faida ho aur berozgari khatm ho
aur mulk mai jo berozgari ki waja
se khud khushian hote hain uski sharah main kuch kami aye. Sadar sahab MULK
SHAM ki soorat-e-haal par ghor kar rahe hain aur chahte hain kay wahn kay halat
theek hojain to kia kabhi unhon ne apne mulk kai bare main soucha yahan bhee to
loag aye din marte hain to kya woh unki zimedari nahi ?
Khair ye woh haqeeqat hai to jamhoriat kay khatm hone tak hamen mili
lekin jo ab sorat-e-hall hai us se kese nimta jai aur who kaunsa aisa leader
hai jo waqai mulk dost hai ap kia samajhte hain kay who kon ho sakta hai jo
mulk ko is soorat-e-hall he bahar nikale ga.
Apne khayalat se hamen bhe agah karen.
No comments:
Post a Comment