Sunday, 14 April 2013

MAKKHI  K AIK PAR ME BIMARI,DOSRI ME SHIFA 

HAZRAT ABU HURERA (RAZIALLAHU ANHU) se riwayat hy k NABI KAREEM (P.B.U.H) ny farmaya :





"agar tum me se kisi k mashroob(pani,doodh) me makkhi gir parry to usy chahye k usko mashroob me dupki dy ,phir ise nikal phenke kyun k is k aik par me bimari or dosre me shifa -"
Doctor muhammad khan is zaman me likhte hyn;



"tibbi tor par ab ye maaroof  baat hy k makkhi apne jism k saath kuch jarajeem uthay phirti hy jesa k NABI KAREEM (P.B.U.H) ne 1400 saal pehle bayan kiyajab insan jadeed tibb k mutaaliq buhut kam jante thy.


issi tarha ALLAH ne kuch azviye(organisms) or digar zaraye peda kiye jo in jaraseem (pathogenes) ko halak kar dyte hayn,maslan pinsleen phaphondi or stephylocosiy jese jaraseem ko maar dalti hy.haalia tajurbat se zahir hota hy k aik makkhi bimari (jarajeem) k saath un jaraseem ka taryak bhi uthay phirti hy.Aam toor par jab makkhi kisi maaya ghiza ko chooti hy to wo usy apne jaraseem se aalooda kar dyti hy,lihaza ise maaya me dupki dyni chahey ta k wo in jaraseem ka taryak bhi is me shamil kar dy jo jaraseem ka madawa karega.



"mene apne aik dost k zareye is moozobn par JAMEALZUHAR ,QAHIRA(MISSAR) k AMMED QASMULHADEES (SHOBA E HADEES K SARBARAH) MUHAMMAD AL MASEEHI ko khat bhi likha jinhon ne is hadees or is k tibbi pehloon par aik mazmoon tehreer kya hy .is me unhon ne bayan kya hy k mahireen e khurd hayatiyat(microbiologists) ne sabit kiya hy k pait me khamrati khulyaat
(yeast cells)tofelyun(parasites) k tor par rehte hyn or ye khamrati khullyaat apni taadaad barhane k liye makkhi ki tanaffus ki naaliyun(Respiratory tubules) me ghuse hote hyn or jab makkhi maaye me duboi jaye to wo khuliat nikal kar maaye me shamil hojate hyn or in khuliyat ka mawad in jaraseem ka taryak hota hy jinhen makkhi uthay phirti hy-"



is silsile me "AL TIBB UL NABVI LAA BIN ULQAYUM" k angrezi tarjuma  HEALING WITH THE MEDICINE OF THE PROPHET  (TABAA DARUSSALAM  ALRYAZ) me likha hy :



"NABI KAREEM (P.B.U.H) ne hukum diya hy k makkhi khurak me gir parre to usy us me duboya jaye ,is tarha makkhi mar jaye gi ,bilkhusos agar ghuiza garam ho -agar ghiza k andar makkhi ki moot ghiza ko naapak banane wali hoti to NABI KAREEM(P.B.U.H) usy phenk dene ka hukum dete -is k baraks NABI KAREEM(P.B.U.H) ne usy mehfooz banane ki hidayat ki-shehed ki makkhi ,bharr, makrri or digar keerrry bhi gharelu makkhi k zail me ate hyn kyun k is hadees se maakhoz hukme nabvi aam hy -murda janwar naapak kyun hyn,iski waja ye hy k unka khoon un k jismon k andar ruka rehta hy,is liye keerry makorry ya hashraat jin me khon nahi hota wo paak hyn-"




"baaz atbaa ne bayan kiya hy k bichu or barr k katty par gharelo makkhi mall di jaye to is shifa ki waja se aram ajata hy jo is k paroon par pinhan hy.agar ghareelo makkhi ka sar alag kar k jisam ko aankh k pappoty k andar roonoma hone wali phinsi par mala jaye to IN SHAA ALLAH aram ajaey ga-






(ALTIBB NABVI;104-105)












No comments:

Post a Comment

JOURNEY

As I just thought about my last journey to "mushkpuri top" it was just an unforgettable and an adventurous place to go. When we...