Allah ne
insane ko bohat se salahiaten di hain,
in salahiatoun ki nashonuma bohat zarori h maslan soochna or samjhna insane
ki ameez salahiaten hain. Lekin agar
insane taleem se mehroom ho to who khud bhi apne andar ki salahiatoun ko
nhe pehchan pata Mukhtasir ye k taleem se aqal-o-shour ata
hai, taleem insane kirdaar ki tamer
karti hai aur usay mashree mai adjust honay main madad gar sabit hoti hai kisi bhe
mulki taraqee k liye zaroori hai k uska har sehri parha likha ho.
Agar hum
mazee ki bat Karen to barr-e-sager main jab mausalmanoun ki hukomat the tou woh
ISLAM ki badolat the or jab wo is se dor hone lage to unka zawal aya aaj
America super power bana hai hai woh apne ilm ki badolat hai jo us ne nai
technology main taraqee ki hai who har shoobe (field) mai khud mukhtar ho kar dosroun par hukumrani
kar raha hai agar PAKISTAN ki bat Karen to yahan taleem yafta logoun ki taadad behad kam hai INDIA jo
PAKISTAN k sath azad hua or CHINA jo PAKISTAN k bad bana tha woh mulk bainul aqwami satah ( internationally) par aj apne alag pehchan
rakhta hai woh mumalik bhee har shoobay main taraqee kar rahe hain .
PAKISTAN
main to hukumran hi gair taleem yafta hain to awam ka taleem yafta hona to door
ki bat hain.Aik haliya waqia hai jo mai ap logoun kay sath share karna chati
houn kuch arsa qabal Punjab main O’
level schools ki fees main taqreeban 75% tak ka izafa kar dya gaya jis par
parents or students ne ahtijaj bhe kia, aur woh school hukomat e Punjab ke Zair
e nazar hai to phr woh PARHA LIKHA PUNJAB ka nara q lagate hain ,yahn k bachoun
ko yehe taleem naseeb nh hote aur apne bache oxford aur harvard university mai
parhne bejte hain.
Agar
examination ki bat Karen to wahan cheating itni aam hogye hai k bechara mehnat
karny wala bemani ki waja se apni position kho daita hai aur gurbat ki waja se
agay taleem apni poori nai kar pata . agar hamen apne mulk ko tarqee ki rah par
gamzan krna hai to hamara ye farz hai kay hum khud har bache ki taleem ko afford
to nhe kr ste lekin kam as kam 1 gareeb
bache to thore bohat taleem to day skte hain aur ye woh dolat hai jo na chene
ja skte hai aur zindagi bhar kay lea sadqa jariya bhe hai…….
No comments:
Post a Comment