UNGLIYUN KI POROON PAR JARASEEM KUSH PROTEIN;
HAZRAT ABDULLAH BIN ABBAS (RAZIALLAHO TAA ALA ANHO) se riwayat hy k NABI KAREEM SALLALLAHO ALAEHY WASALLAM ne farmaya;''jab tum me sy koi khana khaye to wo apna hath na ponche hatta k wo ungliyan chatt ly ya chattwa ly''.(sahi muslim hadis;2031)
khane k baad ungliyan chaatne ka hukum PEGHAMBAR-E-ISLAM ''P.B.U.H'' ne 14 saddyan pehle diya or isme jo hikmat kaar farma hy uski tasdeeq ''tibbi science daan is dour me kar rahy hyn.aik khabar mulahiza kijiye:
jarmani k tibbi mahireen ne tehqeeq k baad ye natija akhz kiya hy k
"insaan ki ungliyun ki poroon par mojod khas qisam ki protein usy motion ,womitt,hyze(dast,qay)jesi bimaryun se bachati hy.mahireen k mutabik wo bacteria ya jinhen"E COLIE"kehte han,jab ungliyun ki poroon par ate hyn to poroon par mojod protein in muzar e sehat bacteria ko khatam kar dyti hy.is tarha ye jaraseem insani jisam par reh kar muzre sehat asraat peda nahi karte,khas tor par jab insan ko pasina ata hy to jaraseem kush protein mutaharrik hojati hy.mahireen ka khayal hy k agar ye protein na hoti to bachon me hazy ,dast or qay ki bimariyan buhut ziada hoti''.
Ahle maghrib khane k bad ungliyan chattne ko gher sehatmand (unhygienic)qarar dy kar is par harf geeri karty rahy hyn lekin ab science iski tasdeeq kar rahi hy k ye amal to nihayat sehat mand hy kyun k ungliyan moon k andar nahi jatin or yun moon k loaab se aalooda nahi hoteen,neez ungliyun ki poroon se muzar bacteria bhi halak hojate hyn.is k bar aks chamche ya kaante se khana khayen to wo bar bar aaloda hota rehta hy or ye behad gher sehat mand amal hy .
jab ALLAH ne ungliyun ki poroon par jarajeem kush protein peda ki hy to hath se khana khane k baad ungliyn chatna dono sehat mand aafal hyn or NABI KAREEM SALALLAHO ALAIHI WASSALLAM ki mazkora baala hadees me inhi do batoon par amal ki talqeen ki gai hy,yani
(1)khana (dayeen)hath se khaya jaye.
(2)hath dhone se pehle ungliyan chaati jayen.
dayeen hath se khane or is k baad ungliyn chattne ki is islami riwayat kbal k SUNNAT ko arboon ne ab tak zinda rakha hy jise maazi me yorup wale gher sehat mand amal therate rahy magar ab unhi k tibbi muhaqiqeen ki tehqeq keh rahi hy k ye hargiz muzre sehat nahi bal k eyn sehat mand or faida mand hy.
No comments:
Post a Comment